Umood Abrar Ahmed عمود ابرار احمد
← Back to Poetry
Ghazal اردو / Roman Sad, Dark, Deep, Hopeful, Spiritual, Urdu Ghazal

فرش سے عرش پہ آواز لگائی میں نے

farsh se arsh pe aawaz lagai maine

July 02, 2026 · 8 views

اردو

فرش سے عرش پہ آواز لگائی میں نے داستاں درد کی ہر گام سنائی میں نے خاموشی درد کے عنوان سے تحریر ہوئی زیست کو دار و رسن تک دی رسائی میں نے تیز بارش سے در و بام مہک اٹھے تھے حالتِ عشق میں جب دھوم مچائی میں نے میں نے قرطاس پہ ہر زخم سجایا اور پھر جاگتی آنکھوں کی تصویر بنائی میں نے کیا ستم ہے کہ ترے بعد جو تکلیف ہوئی اس کی روداد کسی کو نہ سنائی میں نے دیکھ کر آپ کو اس خواب نگر میں شب بھر اپنی سوئی ہوئی تقدیر جگائی میں نے کیا بتاؤں میں زمانے کی تباہی کا سبب بس ترے نام پہ لکھ دی ہے خدائی میں نے زندگی کارِ محبت کے علاوہ نہیں کچھ اپنی ہر سانس میں یہ بات سمائی میں نے روح سی پھونک گیا جسم کے اندر وہ 'عمود' گیلی مٹی پہ عجب شکل دکھائی میں نے

Roman Urdu

farsh se 'arsh pe āvāz lagā.ī maiñ ne dāstāñ dard kī har gaam sunā.ī maiñ ne ḳhāmushī dard ke 'unvān se tahrīr huī ziist ko dār-o-rasan tak dī rasā.ī maiñ ne tez bārish se dar-o-bām mahak uTThe the hālat-e-‘ishq meñ jab dhuum machā.ī maiñ ne maiñ ne qirtās pe har zaḳhm sajāyā aur phir jāgtī āñkhoñ kī tasvīr banā.ī maiñ ne kyā sitam hai ki tire baa'd jo taklīf huī us kī rūdād kisī ko na sunā.ī maiñ ne dekh kar aap ko us ḳhvāb-nagar meñ shab bhar apnī soī huī taqdīr jagā.ī maiñ ne kyā batā.ūñ maiñ zamāne kī tabāhī kā sabab bas tire naam pe likh dī hai ḳhudā.ī maiñ ne zindagī kār-e-mohabbat ke 'alāva nahīñ kuchh apnī har saañs meñ ye baat samā.ī maiñ ne ruuh sī phūñk gayā jism ke andar vo 'umūd' giilī miTTī pe 'ajab shakl dikhā.ī maiñ ne

Related Poetry