Umood Abrar Ahmed عمود ابرار احمد
← Back to Poetry
Ghazal اردو / Roman Sad, Dark, Deep, Hopeful, Spiritual, Urdu Ghazal

محبتوں کا عذاب میں نے غموں کی صورت چکا دیا ہے

mohabbaton ka azab maine ghamon ki surat chuka diya hai

April 21, 2026 · 8 views

اردو

محبتوں کا عذاب میں نے غموں کی صورت چکا دیا ہے نہ چھیڑ مجھ کو اے میرے دشمن کہ میں نے خود کو مٹا دیا ہے ادائے دل میں گلوں کی خوشبو مہک رہی ہے عذاب بن کر یہ دل کا سودا کیا ہے تو نے کہ دل کو مجنوں بنا دیا ہے تڑپ کے میں نے جو تیری یادوں کا دل میں اپنے گلاب رکھا نہ دل ہی مہکا نہ یہ چمن ہی جو یاد تھا سب بھلا دیا ہے یہ ہجر اور یہ وصال دونوں تمہارے ہونے سے منسلک تھے یہ پردہ پوشی جو درمیاں تھی حجاب کس نے اٹھا دیا ہے کمال یہ تھا کہ جس کی خاطر زمانے والوں سے لڑ پڑی میں اسی نے دامن کو چھید ڈالا اسی نے دل ورغلا دیا ہے تمام وعدے وفا کریں گے یہ طے ہوا تھا سو اس لیے بھی وفا کی راہ میں میں جھک گئی تھی چراغِ دل کو بجھا دیا ہے قدم قدم پر اذیتوں کے نشاں ملے تھے چہار جانب میں سوئے مقتل چلی گئی تھی یہ کس نے قصہ سنا دیا ہے میں راہِ حق سے بھٹک گئی تھی نہ کوئی منزل تھی نہ نشاں تھا دلِ شکستہ کی خیر جس نے چراغ شب کا جلا دیا ہے 'عمود' سوئی رہی میں شب بھر عجیب ہلچل مچی ہوئی تھی کہ قہر برپا ہوا تھا شب کو یہ خواب کس نے دکھا دیا ہے

Roman Urdu

mohabbatoñ kā 'azāb maiñ ne ġhamoñ kī sūrat chukā diyā hai na chheḌ mujh ko ai mere dushman ki maiñ ne ḳhud ko miTā diyā hai adā-e-dil meñ guloñ kī ḳhushbū mahak rahī hai 'azāb ban kar ye dil kā saudā kiyā hai tū ne ki dil ko majnūñ banā diyā hai taḌap ke maiñ ne jo terī yādoñ kā dil meñ apne gulāb rakkhā na dil hī mahkā na ye chaman hī jo yaad thā sab bhulā diyā hai ye hijr aur ye visāl donoñ tumhāre hone se munsalik the ye parda-poshī jo darmiyāñ thī hijāb kis ne uThā diyā hai kamāl ye thā ki jis kī ḳhātir zamāne vāloñ se laḌ paḌī maiñ usī ne dāman ko chhed Daalā usī ne dil varġhalā diyā hai tamām vā'de vafā kareñge ye tai huā thā so is liye bhī vafā kī rah meñ maiñ jhuk ga.ī thī charāġh-e-dil ko bujhā diyā hai qadam qadam par aziyyatoñ ke nishāñ mile the chahār-jānib maiñ sū-e-maqtal chalī ga.ī thī ye kis ne qissa sunā diyā hai maiñ rāh-e-haq se bhaTak ga.ī thī na koī manzil thī na nishāñ thā dil-e-shikasta kī ḳhair jis ne charāġh shab kā jalā diyā hai 'umūd' soī rahī maiñ shab bhar 'ajīb halchal machī huī thī ki qahr barpā huā thā shab ko ye ḳhvāb kis ne dikhā diyā hai

Related Poetry